How to use it
- Stamp pad ki neeli ya kaali syahi mein baayen (left) haath ka angootha lagao.
- Safed kaagaz par ek baar dabaa ke lagao, ghumao mat.
- Seedha upar se, achhi roshni mein photo lo.
- Neeche "Left thumb impression" mein photo daalo aur green tick ke baad download karo.
Kya dhyan rakhna hai
- Sirf angootha, saath mein ungli ya kaagaz ka kona photo mein na aaye.
- Mehndi ya gandi syahi se impression saaf nahi aata.
- Exam ke din bhi wahi angootha lagana padta hai.
Declaration bhi likhna hai: Hand written declaration kaise likhe. NEET ke liye: NEET photo & signature.
Aur guides
- Photo ka size kaise kam kare
- Signature ka size kaise kam kare
- PDF ka size kaise kam kare
- Passport size photo kaise banaye
- Photo par naam aur date kaise likhe
- Signature ka background white kaise kare
- JPG se PDF kaise banaye
- Form mein photo upload nahi ho raha?
- Hand written declaration kaise likhe
- Photo ko 20 KB mein kaise kare
- Photo ko 50 KB mein kaise kare
- Photo ka size kaise badhaye
- PDF merge kaise kare
- PDF ko JPG kaise banaye
- Word file ko PDF kaise banaye
Frequently asked questions
Thumb impression ka size kitna hona chahiye?
IBPS aur SBI: 240 × 240 pixel (lagbhag 3 × 3 cm), 20–50 KB, JPG. Apne notice se zaroor milaayein.
Left thumb nahi hai ya chot lagi hai to?
Kai bank notices mein likha hota hai ki left thumb na ho to right thumb lagayein. Apne exam ke notice mein confirm karein.
Thumb impression dhundhla aa raha hai?
Syahi kam lagao aur ek hi baar dabao. Zyada syahi se lakeerein mil jaati hain. Photo din ki roshni mein lo.
NEET mein fingers ki photo kaise?
NEET dono haathon ki ungliyan aur angoothe ek safed kaagaz par maangta hai. NEET ka page alag hai, wahan uska size set hai.